SEARCH RESULTS
Showing search results for ".suo"
Sher MATCHES FOR ".suo"
Sher
Qateel Shifai
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
Bashir Badr
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
chalaa thaa zikr zamaane kii bevafaa.ii kaa
so aa gayaa hai tumhaaraa KHayaal vaise hii
Ahmad Faraz
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
so dekh kar tire ruKHsaar o lab yaqii.n aayaa
ki phuul khilte hai.n gulzaar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
kahaanii likhte hu.e daastaa.n sunaate hu.e
vo so gayaa hai mujhe KHvaab se jagaate hu.e
Saleem Kausar
Sher
so jaate hai.n footpath pe aKHbaar bichhaa kar
mazduur kabhii nii.nd kii golii nahii.n khaate
Munawwar Rana
Sher
ek din kah liijiye jo kuchh hai dil me.n aap ke
ek din sun liijiye jo kuchh hamaare dil me.n hai
Josh Malihabadi
Sher
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa