SEARCH RESULTS
Showing search results for ".suyo"
Sher MATCHES FOR ".suyo"
Sher
gar Duubnaa hii apnaa muqaddar hai to suno
Duube.nge ham zaruur magar naaKHudaa ke saath
Kaifi Azmi
Sher
tum suno yaa na suno haath ba.Dhaa.o na ba.Dhaa.o
Duubte Duubte ik baar pukaare.nge tumhe.n
Irfan Siddiqi
Sher
suno ki ab ham gulaab de.nge gulaab le.nge
mohabbato.n me.n ko.ii KHasaara nahii.n chalegaa
Jawayd Anwar
Sher
dil vo nagar nahii.n ki phir aabaad ho sake
pachhtaa.oge suno ho ye bastii ujaa.D kar
Meer Taqi Meer
Sher
Iqbal Ashhar
Sher
ye qissa vo nahii.n tum jis ko qissa-KHvaa.n se suno
mire fasaana-e-Gam ko mirii zabaa.n se suno
Bahadur Shah Zafar
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
jo aa rahii hai sadaa Gaur se suno us ko
ki is sadaa me.n KHudaa boltaa saa lagtaa hai
Obaidullah Aleem
Sher
na jaane us kii kahaanii me.n kitne pahluu hai.n
ki jab suno to nayaa vaaqi.a nikaltaa hai
Manzoor Hashmi
Sher
ye dil-navaaz udaasii bharii bharii palke.n
are in aa.nkho.n me.n kyaa hai suno dikhaa.o mujhe
Mahboob Khizan
Sher
baat me.n baat usii kii hai suno tum jis kii
yuu.n to kahne ko sabhii mu.nh me.n zabaa.n rakhte hai.n
Ashk Rampuri
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
fazaa ye amn-o-amaa.n kii sadaa rakhe.n qaa.em
suno ye farz tumhaaraa bhii hai hamaaraa bhii
Nusrat Mehdi
Sher
suno hinduu musalmaano ki faiz-e-ishq se 'haatim'
hu.aa aazaad qaid-e-maz.hab-o-mashrab se ab faariG
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
mirii zabaa.n se mirii daastaa.n suno to sahii
yaqii.n karo na karo mehrbaa.n suno to sahii
Sudarshan Faakir
Sher
ye huu kaa vaqt ye jangal ghanaa ye kaalii raat
suno yahaa.n ko.ii KHatra nahii.n Thahar jaa.o
Irfan Siddiqi
Sher
suno mai.n 'miir' kaa diivaan samajhtaa huu.n use
jo namaazii hai.n vo qur.aan samajhte ho.nge
Ameer Imam
Sher
puuchhte ho to suno kaise basar hotii hai
raat KHairaat kii sadqe kii sahar hotii hai