SEARCH RESULTS
Showing search results for ".uhz"
Sher MATCHES FOR ".uhz"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaane.n
meraa paiGaam mohabbat hai jahaa.n tak pahu.nche
Jigar Moradabadi
Sher
apnaa zamaana aap banaate hai.n ahl-e-dil
ham vo nahii.n ki jin ko zamaana banaa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
ro.e.n na abhii ahl-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko KHaraab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
ahl-e-havas to KHair havas me.n hu.e zaliil
vo bhii hu.e KHaraab, mohabbat jinho.n ne kii
Ahmad Mushtaq
Sher
kisii kaa ahd-e-javaanii me.n paarsaa honaa
qasam KHudaa kii ye tauhiin hai javaanii kii
Josh Malihabadi
Sher
hai raam ke vajuud pe hindostaa.n ko naaz
ahl-e-nazar samajhte hai.n us ko imaam-e-hind
Allama Iqbal
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
aadat ke baa'd dard bhii dene lagaa mazaa
ha.ns ha.ns ke aah aah kiye jaa rahaa huu.n mai.n