SEARCH RESULTS
Showing search results for ".umo"
Sher MATCHES FOR ".umo"
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
husn ke samajhne ko umr chaahiye jaanaa.n
do gha.Dii kii chaahat me.n la.Dkiyaa.n nahii.n khultii.n
Parveen Shakir
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
aavaaz de ke dekh lo shaayad vo mil hii jaa.e
varna ye umr bhar kaa safar raa.egaa.n to hai
Muneer Niyazi
Sher
mujhe KHabar thii miraa intizaar ghar me.n rahaa
ye haadsa thaa ki mai.n umr bhar safar me.n rahaa
Saqi Faruqi
Sher
kuchh is tarah se guzaarii hai zindagii jaise
tamaam umr kisii duusre ke ghar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
ham amn chaahte hai.n magar zulm ke KHilaaf
gar ja.ng laazmii hai to phir ja.ng hii sahii
Sahir Ludhianvi
Sher
kitnaa aasaa.n thaa tire hijr me.n marnaa jaanaa.n
phir bhii ik umr lagii jaan se jaate jaate
Ahmad Faraz
Sher
'umr saarii to kaTii 'ishq-e-butaa.n me.n 'momin'
aaKHirii vaqt me.n kyaa KHaak musalmaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
ik umr kaT ga.ii hai tire intizaar me.n
aise bhii hai.n ki kaT na sakii jin se ek raat