SEARCH RESULTS
Showing search results for "Gariib-e-dasht"
Sher MATCHES FOR "Gariib-e-dasht"
Sher
amiir-e-shahr kii tho.Dii sii kajravii ke sabab
Gariib-e-shahr ne dekhe hai.n alamiye kitne
Masood Tanha
Sher
sailaab uma.nD ke shahar kii galiyo.n me.n aa ga.e
lekin Gariib-e-shahr kaa daaman na tar hu.aa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
Gariib-e-shahr to faaqe se mar gayaa 'aarif'
amiir-e-shahr ne hiire se KHud-kushii kar lii
Arif Shafiq
Sher
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
Sultan Rashk
Sher
duusraa aisaa kahaa.n ai dasht KHalvat kaa maqaam
apnii viiraanii ko le kar mere viiraane me.n aa
Natiq Gulavthi
Sher
tai kar liyaa hai mai.n ne saraabo.n bharaa safar
ai dasht ab mujhe miraa in.aam chaahiye
Salim Saleem
Sher
ai vatan jab bhii sar-e-dasht ko.ii phuul khilaa
dekh kar tere shahiido.n kii nishaanii royaa
Jafar Tahir
Sher
sarhad-e-dasht se aabaadii ko jaane vaalo
shahar me.n aur bhii KHuu.n-rez nazaare ho.nge
Habeeb Hashmi
Sher
talaash kartaa hai har gaam kaarvaa.n ham ko
havaa-e-dasht bulaa le ga.ii kahaa.n ham ko
Mehar Ali
Sher
Farooq Nazki
Sher
huu.n tishna-kaam-e-dasht-e-shahaadat zi-bas ki mai.n
girtaa huu.n aab-e-KHanjar-o-shamshiir dekh kar
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
allaah re zauq-e-dasht-navardii ki ba.ad-e-marg
hilte hai.n KHud-ba-KHud mire andar kafan ke paa.nv
Mirza Ghalib
Sher
paivasta gard-e-dasht rahii gar tah-e-daruu.n
aayaa hai jism-e-qais agar pairahan ke biich
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jin kaa yaqiin raah-e-sukuu.n kii asaas hai
vo bhii gumaan-e-dasht me.n mujh ko pha.nse lage