SEARCH RESULTS
Showing search results for "Gunda"
Sher MATCHES FOR "Gunda"
Sher
vaqt kis tezii se guzraa roz-marra me.n 'muniir'
aaj kal hotaa gayaa aur din havaa hote ga.e
Muneer Niyazi
Sher
tere baGair bhii to Ganiimat hai zindagii
KHud ko ga.nvaa ke kaun tirii justujuu kare
Ahmad Faraz
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
bahut dino.n se ko.ii haadsa nahii.n guzraa
kahii.n zamaane ko ham yaad phir na aa jaa.e.n
Rasa Chughtai
Sher
ahmiyat kaa mujhe apnii bhii to andaaza hai
tum ga.e vaqt kii maanind ga.nvaa do mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
vo lamha jab mire bachche ne maa.n pukaaraa mujhe
mai.n ek shaaKH se kitnaa ghanaa daraKHt hu.ii
Humaira Rahman
Sher
mai se Garaz nashaat hai kis ruu-siyaah ko
ik-guuna be-KHudii mujhe din raat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
gudaaz-e-ishq nahii.n kam jo mai.n javaa.n na rahaa
vahii hai aag magar aag me.n dhu.aa.n na rahaa
Jigar Moradabadi
Sher
hazaar baar zamaana idhar se guzraa hai
na.ii na.ii sii hai kuchh terii rahguzar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Sher
har ik nadii se ka.Dii pyaas le ke vo guzraa
ye aur baat ki vo KHud bhii ek dariyaa thaa
Ambar Bahraichi
Sher
muddato.n baad jo is raah se guzraa huu.n 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyaa hai mai.n ne
Qamar Moradabadi
Sher
vo ek din jo tujhe sochne me.n guzraa thaa
tamaam umr usii din kii tarjumaanii hai