SEARCH RESULTS
Showing search results for "Guruur"
Sher MATCHES FOR "Guruur"
Sher
bahut Guruur hai dariyaa ko apne hone par
jo merii pyaas se uljhe to dhajjiyaa.n u.D jaa.e.n
Rahat Indori
Sher
aa.iina dekh apnaa saa mu.nh le ke rah ga.e
saahab ko dil na dene pe kitnaa Guruur thaa
Mirza Ghalib
Sher
Nooh Narvi
Sher
aa.nkho.n kaa thaa qusuur na dil kaa qusuur thaa
aayaa jo mere saamne meraa Guruur thaa
Jigar Moradabadi
Sher
jis sar ko Guruur aaj hai yaa.n taaj-varii kaa
kal us pe yahii.n shor hai phir nauhagarii kaa
Meer Taqi Meer
Sher
bahut Guruur hai tujh ko ai sar-phire tuufaa.n
mujhe bhii zid hai ki dariyaa ko paar karnaa hai
Unknown
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sar ko na phe.nk apne falak par Guruur se
tuu KHaak se banaa hai tiraa ghar zamiin hai
Meer Hasan
Sher
zaraa naqaab-e-hasii.n ruKH se tum ulaT denaa
ham apne diida-o-dil kaa Guruur dekhe.nge
Shakeel Badayuni
Sher
Guruur bhii jo karuu.n mai.n to aajizii ho jaa.e
KHudii me.n lutf vo aa.e ki be-KHudii ho jaa.e
Riyaz Khairabadi
Sher
sambhal ke chalne kaa saaraa Guruur TuuT gayaa
ik aisii baat kahii us ne la.Dkha.Daate hu.e
Azhar Inayati
Sher
ham aur log hai.n ham se bahut Guruur na kar
kaliim thaa jo tiraa naaz sah gayaa hogaa
Abdul Hamid Adam
Sher
kabhii hayaa unhe.n aa.ii kabhii Guruur aayaa
hamaare kaam me.n sau sau tarah futuur aayaa
Bekhud Badayuni
Sher
Guruur-e-husn na kar jazba-e-zuleKHaa dekh
kiyaa hai ishq ne yuusuf Gulaam aashiq kaa
Shah Naseer
Sher
tuu sirf merii hai us kaa Guruur hai mujh ko
agar ye vahm meraa hai to ko.ii baat nahii.n
Aks samastipuri
Sher
aariz pe tere merii mohabbat kii surKHiyaa.n
merii jabii.n pe terii vafaa kaa Guruur hai
Khalilur Rahman Azmi
Sher
hazaar daam se niklaa huu.n ek jumbish me.n
jise Guruur ho aa.e kare shikaar mujhe
Shefta Mustafa Khan
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
zaahid sambhal Guruur KHudaa ko nahii.n pasand
farsh-e-zamii.n pe paa.nv dimaaG aasmaan par