SEARCH RESULTS
Showing search results for "IFoF"
Sher MATCHES FOR "ifof"
Sher
ba.Dh ke tuufaan ko aaGosh me.n le le apnii
Duubne vaale tire haath se saahil to gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
maa.n kii aaGosh me.n kal maut kii aaGosh me.n aaj
ham ko duniyaa me.n ye do vaqt suhaane se mile
Kaif Bhopali
Sher
nii.nd to dard ke bistar pe bhii aa saktii hai
un kii aaGosh me.n sar ho ye zaruurii to nahii.n
Khamosh Ghazipuri
Sher
vo aql-mand kabhii josh me.n nahii.n aataa
gale to lagtaa hai aaGosh me.n nahii.n aataa
Farhat Ehsas
Sher
pahlii nazar bhii aap kii uff kis balaa kii thii
ham aaj tak vo choT hai.n dil par liye hu.e
Asghar Gondvi
Sher
uff vo tuufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saa.ns me.n dab dab ke ubhartaa dekhaa
Andaleeb Shadani
Sher
ajab nasha hai tire qurb me.n ki jii chaahe
ye zindagii tirii aaGosh me.n guzar jaa.e
Aitbar Sajid
Sher
apnii urdu to mohabbat kii zabaa.n thii pyaare
uff siyaasat ne use jo.D diyaa maz.hab se
Sada Ambalvi
Sher
be-fikr raho yaaro mai.n aaj bhii huu.n barbaad
din phir ga.e hai.n mere afvaah u.Dii hogii
Amardeep Singh
Sher
ba.ad marne ke bhii armaan yahii hai ai dost
ruuh merii tire aaGosh-e-mohabbat me.n rahe
Nadir Shahjahanpuri
Sher
vo bhalaa kaise bataa.e ki Gam-e-hijr hai kyaa
jis ko aaGosh-e-mohabbat kabhii haasil na hu.aa
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
tanhaa.ii se aatii nahii.n din raat mujhe nii.nd
yaa-rab miraa ham-KHvaab o ham-aaGosh kahaa.n hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Gam-e-hayaat bhii aaGosh-e-husn-e-yaar me.n hai
ye vo KHizaa.n hai jo Duubii hu.ii bahaar me.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
ishq kyaa hai KHuubsuurat sii ko.ii afvaah bas
vo bhii mere aur tumhaare darmiyaa.n u.Dtii hu.ii