SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHalvat"
Sher MATCHES FOR "KHalvat"
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
Azm Bahzad
Sher
hai aadmii bajaa.e KHud ik mahshar-e-KHayaal
ham anjuman samajhte hai.n KHalvat hii kyuu.n na ho
Mirza Ghalib
Sher
har tamannaa dil se ruKHsat ho ga.ii
ab to aa jaa ab to KHalvat ho ga.ii
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
Sher
gar ho sharaab o KHalvat o mahbuub-e-KHuub-ruu
zaahid qasam hai tujh ko jo tuu ho to kyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
banaayaa to.D ke aa.iina aa.iina-KHaana
na dekhii raah jo KHalvat se anjuman kii taraf
Nazm Tabatabai
Sher
fasurda-dil kabhii KHalvat na anjuman me.n rahe
bahaar ho ke rahe ham to jis chaman me.n rahe
Dagh Dehlvi
Sher
Jaun Eliya
Sher
mai.n tire husn kaa KHalvat me.n tamaashaa.ii huu.n
aa.iina siikh na jaa.e kahii.n hairat merii
Shabab
Sher
yaa-rab kabhii vo din ho ki KHalvat me.n vo sanam
khulvaa.e apne band-e-qabaa mere haath se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dil samajhtaa thaa ki KHalvat me.n vo tanhaa ho.nge
mai.n ne parda jo uThaayaa to qayaamat niklii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
KHalvat ho aur sharaab ho ma.ashuuq saamne
zaahid tujhe qasam hai jo tuu ho to kyaa kare
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
kaise ha.ngaama-e-fursat me.n mile hai.n tujh se
ham bhare shahr kii KHalvat me.n mile hai.n tujh se
Saleem Kausar
Sher
Pallav Mishra
Sher
Khalid Moin
Sher
merii KHalvat me.n jahaa.n gard jamii paa.ii ga.ii
u.ngliyo.n se tirii tasviir banii paa.ii ga.ii
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
dar-ba-dar phirne ne merii qadr kho.ii ai falak
un ke dil me.n hii jagah miltii jo KHalvat maa.ngtaa
Aagha Akbarabadi
Sher
yuu.n to mohabbato.n me.n ba.Dii qurbate.n rahii.n
lekin jo dil se puuchho to KHalvat kamaa.ii hai