SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHema"
Sher MATCHES FOR "KHema"
Sher
sham-e-KHema ko.ii zanjiir nahii.n ham-safaraa.n
jis ko jaanaa hai chalaa jaa.e ijaazat kaisii
Irfan Siddiqi
Sher
chamak rahaa hai KHema-e-raushan duur sitaare saa
dil kii kashtii tair rahii hai khule samundar me.n
Zeb Ghauri
Sher
havaa-e-kuufa-e-naa-mehrbaa.n ko hairat hai
ki log KHema-e-sabr-o-razaa me.n zinda hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
taarii hai har taraf jo ye aalam sukuut kaa
tuufaa.n kaa pesh-KHema samajh KHaamushii nahii.n
Umar Ansari
Sher
pesh-KHema hai.n qayaamat kaa yahii do fitne
baa.Dh par qad hai taraqqii pe hai jauban teraa
Jaleel Manikpuri
Sher
KHema-e-jaa.n kii tanaabo.n ko ukha.D jaanaa thaa
ham se ik roz tiraa Gam bhii bichha.D jaanaa thaa
Najeeb Ahmad
Sher
Ishq Aurangabadi
Sher
mai.n chaahtaa huu.n mujhe mash.alo.n ke saath jalaa
kushaada-tar hai agar KHema-e-havaa tujh pe
Afzal Ahmad Syed
Sher
siskiyaa.n bhar ke 'sharar' kaun vahaa.n rotaa thaa
KHema-e-KHvaab sar-e-shaam jahaa.n par TuuTaa
Kaleem Haider Sharar
Sher
sar-bulandii ko yahaa.n dil ne na chaahaa mun.im
varna ye KHema-e-aflaak puraanaa kyaa thaa
Shah Naseer
Sher
Asim nadeem Asi
Sher
tire badan kii tanaabe.n to mai.n ne khii.nchii thii.n
magar ye KHema kisii aur ko nasiib hu.aa
Ali Haidar Alvi
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
abruu na sa.nvaaraa karo kaT jaa.egii u.nglii
naadaan ho talvaar se khelaa nahii.n karte
Agha Shayar Qazalbash
Sher
palaT ke aa ga.ii KHeme kii samt pyaas mirii
phaTe hu.e the sabhii baadalo.n ke mashkiize
Mohsin Naqvi
Sher
chamak rahe the andhere me.n soch ke jugnuu
mai.n apnii yaad ke KHeme me.n so nahii.n paayaa