SEARCH RESULTS
Showing search results for "Lahja"
Sher MATCHES FOR "lahja"
Sher
lahja ki jaise sub.h kii KHushbuu azaan de
jii chaahtaa hai mai.n tirii aavaaz chuum luu.n
Bashir Badr
Sher
abhii kuchh aur karishme Gazal ke dekhte hai.n
'faraaz' ab zaraa lahja badal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
vo itr-daan saa lahja mire buzurgo.n kaa
rachii-basii hu.ii urdu zabaan kii KHushbuu
Bashir Badr
Sher
Galat the vaade magar mai.n yaqiin rakhtaa thaa
vo shaKHs lahja bahut dil-nashiin rakhtaa thaa
Mohsin Bhopali
Sher
lahja to badal chubhtii hu.ii baat se pahle
tiir aisaa to kuchh ho jise naKHchiir bhii chaahe
Gauhar Hoshiyarpuri
Sher
Hafeez Merathi
Sher
ye shabnamii lahja hai aahista Gazal pa.Dhnaa
titlii kii kahaanii hai phuulo.n kii zabaanii hai
Bashir Badr
Sher
aap kaa lahja shahad jaisaa tarannum-KHez hai
KHaamushii ab to.Diye aur boliye mere liye
Indira Varma
Sher
saath 'Gaalib' ke ga.ii fikr kii gahraa.ii bhii
aur lahja bhii gayaa 'miir-taqii-miir' ke saath
Rajesh Reddy
Sher
apne andaaz-e-takallum ko badal de varna
meraa lahja bhii tire saath badal saktaa hai
Nazim Barelvi
Sher
Mansoor Aafaque
Sher
bujhii-bujhii sii ye baate.n dhu.aa.n-dhu.aa.n lahja
kisii 'azaab me.n andar se jal rahe ho kyaa
Aziz Nabeel
Sher
yahii lahja thaa ki me.aar-e-suKHan Thahraa thaa
ab isii lahja-e-be-baak se KHauf aataa hai
Iftikhar Arif
Sher
jab puraanaa lahja kho detaa hai apnii taazgii
ik na.ii tarz-e-navaa iijaad kar lete hai.n ham
Wamiq Jaunpuri
Sher
ham bhii jii bhar ke tujhe koste phirte lekin
ham tiraa lahja-e-be-baak kahaa.n se laa.e.n
Liaqat Jafri
Sher
gul-o-gulchii.n kaa gila bulbul-e-KHush-lahja na kar
tuu giraftaar hu.ii apnii sadaa ke baa.is