SEARCH RESULTS
Showing search results for "Raup"
Sher MATCHES FOR "raup"
Sher
ishq phir ishq hai jis ruup me.n jis bhes me.n ho
ishrat-e-vasl bane yaa Gam-e-hijraa.n ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
haDDiyaa.n baap kii guude se hu.ii hai.n KHaalii
kam se kam ab to ye beTe bhii kamaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Sher
zindagii naam hai ik johd-e-musalsal kaa 'fanaa'
raah-rau aur bhii thak jaataa hai aaraam ke ba.ad
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Fuzail Jafri
Sher
Mumtaz Gurmani
Sher
rau me.n hai raKHsh-e-umr kahaa.n dekhiye thame
ne haath baag par hai na paa hai rikaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
kyaa ruup dostii kaa kyaa rang dushmanii kaa
ko.ii nahii.n jahaa.n me.n ko.ii nahii.n kisii kaa
Majeed Amjad
Sher
zindagii KHud ko na is ruup me.n pahchaan sakii
aadmii lipTaa hai KHvaabo.n ke kafan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ruup kii dhuup kahaa.n jaatii hai ma.aluum nahii.n
shaam kis tarah utar aatii hai ruKHsaaro.n par
Irfan Siddiqi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
manzile.n na bhuule.nge raah-rau bhaTakne se
shauq ko ta'alluq hii kab hai paa.nv thakne se
Adeeb Saharanpuri
Sher
ruup rang miltaa hai KHadd-o-KHaal milte hai.n
aadmii nahii.n miltaa aadmii ke paikar me.n
Khushbir Singh Shaad
Sher
ko.ii aisaa ahl-e-dil ho ki fasaana-e-mohabbat
mai.n use sunaa ke ro.uu.n vo mujhe sunaa ke ro.e
Saifuddin Saif
Sher
chaltaa huu.n tho.Dii duur har ik tez-rau ke saath
pahchaantaa nahii.n huu.n abhii raahbar ko mai.n
Mirza Ghalib
Sher
KHamoshii merii lai me.n gungunaanaa chaahtii hai
kisii se baat karne kaa bahaanaa chaahtii hai