SEARCH RESULTS
Showing search results for "Tahal"
Sher MATCHES FOR "Tahal"
Sher
kab se Tahal rahe hai.n garebaan khol kar
KHaalii ghaTaa ko kyaa kare.n barsaat bhii to ho
Adil Mansuri
Sher
mai.n apne baap ke siine se phuul chuntaa huu.n
so jab bhii saa.ns thamii baaG me.n Tahal aayaa
Hammad Niyazi
Sher
Tahal rahaa hai ik aa.nsuu labo.n ke paas miraa
bigaa.D kuchh nahii.n saktii hai ab ye pyaas miraa
Ali Raza Aseer
Sher
har ek baat ke yuu.n to diye javaab us ne
jo KHaas baat thii har baar ha.ns ke Taal gayaa
Ahmad Rahi
Sher
hai taa-hadd-e-imkaa.n ko.ii bastii na bayaabaa.n
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab dikhaa.ii nahii.n detaa
Syed Amin Ashraf
Sher
kuchh ishaara jo kiyaa ham ne mulaaqaat ke vaqt
Taal kar kahne lage din hai abhii raat ke vaqt
Insha Allah Khan Insha
Sher
saaqii mire KHuluus kii shiddat ko dekhnaa
phir aa gayaa huu.n gardish-e-dauraa.n ko Taal kar
Abdul Hamid Adam
Sher
tanhaa.ii kii ye kaun sii manzil hai rafiiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Sher
kis tasavvur ke tahat rabt kii manzil me.n rahaa
kis vasiile ke ta.assur kaa nigahbaan thaa mai.n
Sahil Ahmad
Sher
ha.nsii me.n Taal de phir se hamaarii har KHvaahish
phir ek baar thapak de hamaaraa gaal zaraa
Zia Zameer
Sher
sahraa-e-be-KHayaal me.n jal-thal kahaa.n ke hai.n
aaKHir havaa-e-shauq ye baadal kahaa.n ke hai.n
Rasa Chughtai
Sher
chaa.nd niklaa hai ba-andaaz-e-digar aaj kii shaam
baarish-e-nuur hai taa-hadd-e-nazar aaj kii shaam
Arman Akbarabadi
Sher
ye kaisii bahaar-e-chaman aa.ii ki chaman me.n
viiraana hii viiraana hai taa-hadd-e-nazar aaj
Kaleem Aajiz
Sher
ham ehtiyaat kii aisii misaal dete hai.n
tumhaaraa zikr bhii aayaa to Taal dete hai.n