SEARCH RESULTS
Showing search results for "Te.Dhaa"
Sher MATCHES FOR "Te.Dhaa"
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
zindagaanii kii haqiiqat kohkan ke dil se puuchh
juu-e-shiir o tesha o sa.ng-e-giraa.n hai zindagii
Allama Iqbal
Sher
har samt falak-bos pahaa.Do.n kii qataare.n
'KHusrav' hai na 'shiirii.n' hai na tesha hai na farhaad
Shohrat Bukhari
Sher
tesha-ba-kaf ko aa.ina-gar kah diyaa gayaa
jo aib thaa use bhii hunar kah diyaa gayaa
Anjum Irfani
Sher
duusro.n se kab talak ham pyaas kaa shikva kare.n
laa.o tesha ek dariyaa duusraa paidaa kare.n
Nazeer Banarasi
Sher
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Sher
pahaa.D bhaa.np rahaa thaa mire iraade ko
vo is liye bhii ki tesha mujhe uThaanaa thaa
Akhtar Shumar
Sher
be-sutuu.n ik navaahii me.n hai shahr-e-dil kii
tesha in.aam kare.n aur ko.ii farhaad rakhe.n
Jaun Eliya
Sher
Unknown
Sher
aaj tujh yaad ne ai dilbar-e-shiirii.n-harakaat
aah ko dil ke upar tesha-e-farhaad kiyaa
Wali Dakni
Sher
hai.n vahii insaa.n uThaate ranj jo hote hii kaj
Te.Dhii ho kar Duubtii hai naav akasr aab me.n
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
kibr bhii hai shirk ai zaahid muvahhid ke huzuur
le ke tesha KHaaksaarii kaa but-e-pindaar to.D