SEARCH RESULTS
Showing search results for "ThaTThaa"
Sher MATCHES FOR "ThaTThaa"
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
thaknaa bhii laazmii thaa kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayaa huu.n aaraam karte karte
Zafar Iqbal
Sher
be-naam saa ye dard Thahar kyuu.n nahii.n jaataa
jo biit gayaa hai vo guzar kyuu.n nahii.n jaataa
Nida Fazli
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
naa-umiidii maut se kahtii hai apnaa kaam kar
aas kahtii hai Thahar KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
kisii haalat me.n bhii tanhaa nahii.n hone detii
hai yahii ek KHaraabii mirii tanhaa.ii kii
Farhat Ehsas
Sher
sunaa hai log use aa.nkh bhar ke dekhte hai.n
so us ke shahr me.n kuchh din Thahar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
mohabbat karne vaale dard me.n tanhaa nahii.n hote
jo ruuThoge kabhii mujh se to apnaa dil dukhaa.oge
Aazim Kohli
Sher
Bashir Badr
Sher
sukuun-e-dil ke liye ishq to bahaana thaa
vagarna thak ke kahii.n to Thahar hii jaanaa thaa
Fatima Hasan
Sher
vo ek aks ki pal bhar nazar me.n Thahraa thaa
tamaam umr kaa ab silsila hai mere liye