SEARCH RESULTS
Showing search results for "a khayyam"
Sher MATCHES FOR "a khayyam"
Sher
raanaa.i-e-KHayaal ko Thahraa diyaa gunaah
vaa.iz bhii kis qadar hai mazaaq-e-suKHan se duur
Hasrat Mohani
Sher
naqsh-e-KHayaal dil se miTaayaa nahii.n hanuuz
be-dard mai.n ne tujh ko bhulaayaa nahii.n hanuuz
Josh Malihabadi
Sher
pas-e-KHayaal huu.n kitnaa zuhuur kitnaa huu.n
KHabar nahii.n ki abhii KHud se duur kitnaa huu.n
Ahmad Shanas
Sher
kitne hii daa.ero.n me.n baTaa markaz-e-KHayaal
ik but ke ham ne saika.Do.n paikar banaa diye
Anjum Ansari
Sher
nikal gayaa mirii aa.nkho.n se misl-e-KHvaa-o-KHayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
Mazaq Badayuni
Sher
hai aadmii bajaa.e KHud ik mahshar-e-KHayaal
ham anjuman samajhte hai.n KHalvat hii kyuu.n na ho
Mirza Ghalib
Sher
ye shaam Dhal rahii thii ki aa.ii KHabar burii
paanii ke intizaar me.n ik jhiil mar ga.ii
Lokesh Tripathi
Sher
mai.n bistar-e-KHayaal pe leTaa huu.n us ke paas
sub.h-e-azal se ko.ii taqaazaa kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
ik teraa aasraa hai faqat ai KHayaal-e-dost
sab bujh ga.e charaaG shab-e-intizaar me.n
Figar Unnavi
Sher
kuchh kamaayaa nahii.n baazaar-e-KHabar me.n rah kar
band dukkaan kare.n be-KHabarii pesha kare.n
Moin Najmi
Sher
munjamid ho zindagii me.n jab kabhii shahr-e-KHayaal
phir charaaG-e-dil se us ko jagmagaanaa chaahiye
Baharunnisa Bahar
Sher
Raza Azimabadi
Sher
paik-e-KHayaal bhii hai ajab kyaa jahaa.n-numaa
aayaa nazar vo paas jo apne se duur thaa
George Puech Shor
Sher
Ada Jafarey
Sher
lab-e-KHayaal se us lab kaa jo liyaa bosa
to mu.nh hii mu.nh me.n ajab tarah kaa mazaa aayaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
fikr-e-suKHan talaash-e-ma.aash o KHayaal-e-yaar
Gam kam hu.aa to haa.n dil-e-be-Gam se hovegaa