SEARCH RESULTS
Showing search results for "aa.ina-bii.n"
Sher MATCHES FOR "aa.ina-bii.n"
Sher
kaam us ke lab se hai mujhe bint-ul-inab se kyaa
hai aab-e-zindagii bhii to le jaa.e murda-sho
Meer Taqi Meer
Sher
zikr us parii-vash kaa aur phir bayaa.n apnaa
ban gayaa raqiib aaKHir thaa jo raaz-daa.n apnaa
Mirza Ghalib
Sher
dushmanii mujh se kiye jaa magar apnaa ban kar
jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
dekh kar tujh ko qadam uTh nahii.n saktaa apnaa
ban ga.e suurat-e-diivaar tire kuuche me.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
imsaak me.n rahegii na paabandii-e-manii
hargiz nahii.n hai.n muGbache bint-ul-inab se kam
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
ham ne siine se lagaayaa dil na apnaa ban sakaa
muskuraa kar tum ne dekhaa dil tumhaaraa ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
chashm vaa rah ga.ii dekhaa jo tilismaat-e-jahaa.n
aa.ina ban ga.e ham mahv-e-tamaashaa ho kar
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
sarso.n jo phuulii diida-e-jaam-e-sharaab me.n
bint-ul-anab se karne lagaa shoKHiyaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
Saghar Khayyami
Sher
gar dekhiye to aa.iina-e-qad-numaa kii shakl
suurat mai.n ban rahaa huu.n tamaam intizaar kii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
phir chaahe to na aanaa o aan baan vaale
jhuuTaa hii va.ada kar le sachchii zabaan vaale
Arzoo Lakhnavi
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
Habib Jalib
Sher
baguula ban ke u.Daa KHvaahisho.n ke sahraa me.n
Thahar gayaa to faqat thaa Gubaar merii tarah
Fareed Parbati
Sher
bahaar ban ke hasii.n dariicho.n me.n aane vaalaa
chalaa gayaa hai bharaa chaman sogvaar kar ke
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
kahiyo KHud-bii.n se ki aa.iine me.n tanhaa mat baiTh
KHatar aaseb kaa rahtaa hai parii-KHaane me.n