SEARCH RESULTS
Showing search results for "aa.inda"
Sher MATCHES FOR "aa.inda"
Sher
ab ye aa.nkhe.n kisii taskiin se taabinda nahii.n
mai.n ne rafta se ye jaanaa hai ki aa.inda nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
hamaare lafz aa.inda zamaano.n se ibaarat hai.n
pa.Dhaa jaa.egaa kal jo aaj vo tahriir karte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
ham be-KHudaan-e-mahfil-e-tasviir ab ga.e
aa.inda ham se aap me.n aayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
ham aise log jo aa.inda o guzishta hai.n
hamaare ahd ko maujuud se tahii kiyaa jaa.e
Hammad Niyazi
Sher
Ateequllah
Sher
Ameerul Islam Hashmi
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
andaaz apnaa dekhte hai.n aa.ine me.n vo
aur ye bhii dekhte hai.n ko.ii dekhtaa na ho