SEARCH RESULTS
Showing search results for "aa.ndhii"
Sher MATCHES FOR "aa.ndhii"
Sher
shaaKHo.n se TuuT jaa.e.n vo patte nahii.n hai.n ham
aa.ndhii se ko.ii kah de ki auqaat me.n rahe
Rahat Indori
Sher
ye aur baat ki aa.ndhii hamaare bas me.n nahii.n
magar charaaG jalaanaa to iKHtiyaar me.n hai
Azhar Inayati
Sher
aa.ndhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahii.n milaa
Mustafa Zaidi
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
aabla-paa ko.ii is dasht me.n aayaa hogaa
varna aa.ndhii me.n diyaa kis ne jalaayaa hogaa
Meena Kumari Naz
Sher
palko.n ke sitaare bhii u.Daa le ga.ii 'anvar'
vo dard kii aa.ndhii kii sar-e-shaam chalii thii
Anwar Masood
Sher
yaaro ye daur zof-e-basaarat kaa daur hai
aa.ndhii uThe to us ko ghaTaa kah liyaa karo
Qateel Shifai
Sher
kuchh ehtiyaat parinde bhii rakhnaa bhuul ga.e
kuchh intiqaam bhii aa.ndhii ne badtariin liye
Nusrat Gwaliari
Sher
ko.ii dimaaG se ko.ii shariir se haaraa
me.n apne haath kii andhii lakiir se haaraa
Obaidur Rahman
Sher
suuraj cha.Dhaa to pighlii bahut choTiyo.n kii barf
aa.ndhii chalii to ukh.De bahut saaya-daar log
Manzar Saleem
Sher
badan kii andhii galii to jaa-e-amaan Thahrii
mai.n apne andar kii raushnii se Daraa hu.aa huu.n
Aanis Moin
Sher
jalaa vo sham.a ki aa.ndhii jise bujhaa na sake
vo naqsh ban ki zamaana jise miTaa na sake