SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaGaaz-e-ishq"
Sher MATCHES FOR "aaGaaz-e-ishq"
Sher
aaGaaz-e-ishq umr kaa anjaam ho gayaa
naakaamiyo.n ke Gam me.n miraa kaam ho gayaa
Ismail Merathi
Sher
ab agar ishq ke aasaar nahii.n badle.nge
ham bhii pairaaya-e-iz.haar nahii.n badle.nge
Aghaz Barni
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ajiz Matvi
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn۔e۔Insha
Sher
tuu jo talvaar se nahlaa.e lahuu me.n mujh ko
Gusl-e-sehhat hu.aa bhii ishq kii biimaarii se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
Khalid Hasan Qadiri
Sher
Hasrat Mohani
Sher
ahd-e-aaGaaz-e-tamannaa bhii mujhe yaad nahii.n
mahv-e-hairat huu.n ki itnaa bhii mujhe yaad nahii.n
Shaukat Pardesi
Sher
ye arsh se aanaa to aaGaaz-e-mohabbat thaa
ab farsh pe aa.e hai.n anjaam se khele.nge