SEARCH RESULTS
Showing search results for "aabid"
Sher MATCHES FOR "aabid"
Sher
jahaa.n pahu.nch ke qadam Dagmagaa.e hai.n sab ke
usii maqaam se ab apnaa raastaa hogaa
Aabid Adeeb
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
ye kyaa pa.Dii hai tujhe dil jalo.n me.n baiThne kii
ye umr to hai miyaa.n dosto.n me.n baiThne kii
aabid umar
Sher
jinhe.n ye fikr nahii.n sar rahe rahe na rahe
vo sach hii kahte hai.n jab bolne pe aate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
KHamosh rahne kii aadat bhii maar detii hai
tumhe.n ye zahr to andar se chaaT jaa.egaa
Abid Khursheed
Sher
ba.De sukuun se afsurdagii me.n rahtaa huu.n
mai.n apne saamne vaalii galii me.n rahtaa huu.n
Abid Malik
Sher
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana hu.aa
rahaa hai ab to bichha.Dne ko mujh se tuu baaqii
Aabid Adeeb
Sher
hazaar ta.ane sunegaa KHajil nahii.n hogaa
ye vo hujuum hai jo mushta.il nahii.n hogaa
Abid Malik
Sher
falak se kaise miraa Gam dikhaa.ii degaa tujhe
kabhii zamiin pe aa aur zamii.n se dekh mujhe
Abid Malik
Sher
Aabid Adeeb
Sher
ta.Dpe.nge tirii yaad me.n ghabraa.e.nge tanhaa
ai dost kisii taur na jii paa.e.nge tanhaa
Irfan Abid
Sher
jiine kaa akele to tasavvur bhii nahii.n hai
ham tujh se judaa ho.nge to mar jaa.e.nge tanhaa