SEARCH RESULTS
Showing search results for "aah-e-sozaa.n"
Sher MATCHES FOR "aah-e-sozaa.n"
Sher
ham itne pareshaa.n the ki haal-e-dil-e-sozaa.n
un ko bhii sunaayaa ki jo Gam-KHvaar nahii.n the
Razi Akhtar Shauq
Sher
na puuchh sher hai kyaa chiiz mujh se ai hamdam
mizaaj-e-aatish-e-sozaa.n lataafat-e-shabnam
Izhaar Malihabadi
Sher
qaafile raat ko aate the udhar jaan ke aag
dasht-e-Gurbat me.n jidhar ai dil-e-sozaa.n ham the
Taashshuq Lakhnavi
Sher
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaGdaar kii
kahte hai.n sau sunaar kii aur ik luhaar kii
Shah Naseer
Sher
aah-e-pur-soz kii taasiir burii hotii hai
KHush rahe.nge na Gariibo.n ko sataane vaale
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
na haath rakh mire siine pe dil nahii.n is me.n
rakhaa hai aatish-e-sozaa.n ko daab ke ghar me.n
Shah Naseer
Sher
ishq sar-taa-ba-qadam aatish-e-sozaa.n hai magar
us me.n shola na sharaara na dhu.aa.n hotaa hai
Amir Usmani
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
aah-e-be-asar niklii naala naa-rasaa niklaa
ik KHudaa pe takiya thaa vo bhii aap kaa niklaa
Aziz Qaisi
Sher
'attaar' ho 'ruumii' ho 'raazii' ho 'Gazaalii' ho
kuchh haath nahii.n aataa be-aah-e-sahar-gaahii
Allama Iqbal
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Ameer Khusrau
Sher
taa-sub.h mirii aah-e-jahaa.n-soz se kal raat
kyaa gumbad-e-aflaak ye hammaam saa thaa garm
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ham ko milii hai ishq se ik aah-e-soz-naak
vo bhii usii kii garmii-e-baazaar ke liye
Raza Azimabadi
Sher
Gam-KHaan-e-jahaa.n me.n vaq.at hii kyaa hamaarii
ik naa-shuniida uf hai.n ik aah-e-be-asar hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
maa-sivaa-e-kaar-aah-o-ashk kyaa hai ishq me.n
hai savaad-e-aab-o-aatish diida o dil ke qariib