SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaha.ng-e-badii"
Sher MATCHES FOR "aaha.ng-e-badii"
Sher
log mujh ko mire aaha.ng se pahchaan ga.e
kaun badnaam rahaa shahr-e-suKHan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
us ne chhuu kar mujhe patthar se phir insaan kiyaa
muddato.n baa'd mirii aa.nkho.n me.n aa.nsuu aa.e
Bashir Badr
Sher
Bashir Badr
Sher
Bashir Badr
Sher
Bashir Badr
Sher
lafz-e-ehsaas ko tasviir nahii.n kar sakte
'ishq duniyaa kii zabaano.n se ba.Daa hai shaayad
Noman Badr
Sher
'baaqii' jo chup rahoge to uTThe.ngii u.ngliyaa.n
hai bolnaa bhii rasm-e-jahaa.n bolte raho
Baqi Siddiqui
Sher
Ibn e Insha
Sher
aahan o sang ko zahraab-e-fanaa chaaT gayaa
pahle diivaar shikasta hu.ii phir baab giraa
Azeem Haider Syed
Sher
aaj kyaa lauTte lamhaat mayassar aa.e
yaad tum apnii inaayaat se ba.Dh kar aa.e
Rajinder Manchanda Bani
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
barsaat ke aate hii tauba na rahii baaqii
baadal jo nazar aa.e badlii merii niiyat bhii
Hasrat Mohani
Sher
ye zor-e-barq-o-baad ye tuufaan al-amaa.n
mahruum ho na jaa.e.n kahii.n aashiyaa.n se ham
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
naqqaash-e-azal ne to sar-e-kaaGaz-e-baad aah
kyaa KHaak likhaa umr kii ta.amiir kaa naqsha
Waliullah Muhib
Sher
maazii-e-marhuum kii naakaamiyo.n kaa zikr chho.D
zindagii kii fursat-e-baaqii se ko.ii kaam le
Seemab Akbarabadi
Sher
is tishna-labii par mujhe ezaaz to baKHsho
ai baada-kasho jaam uThaa.o ki chalaa mai.n