SEARCH RESULTS
Showing search results for "aamaal-naama"
Sher MATCHES FOR "aamaal-naama"
Sher
kartaa rahaa luGaat kii tahqiiq umr bhar
a.amaal-naama nusKHa-e-farha.ng ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
daavar-e-hashr miraa naama-e-a.amaal na dekh
is me.n kuchh parda-nashiino.n ke bhii naam aate hai.n
Mohammad Deen Taseer
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
ham apnii nekii samajhte to hai.n tujhe lekin
shumaar naama-e-a.amaal me.n nahii.n karte
Azhar Faragh
Sher
musta.id huu.n tire zulfo.n kii siyaahii le kar
safha-e-naama-e-aamaal kuu.n kaalaa karne
Siraj Aurangabadi
Sher
teraa imaam be-huzuur terii namaaz be-suruur
aisii namaaz se guzar aise imaam se guzar
Allama Iqbal
Sher
ba-naam-e-amn-o-amaa.n kaun maaraa jaa.egaa
na jaane aaj yahaa.n kaun maaraa jaa.egaa
Naseem Sahar
Sher
abad ke dosh pe suu-e-azal chale hai.n ki ham
nayaa hii naqsh ko.ii dahr kaa banaate hai.n
Shariq Jamal
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
jab tiraa qaamat-e-sho.ala-numaa pahu.nchaa sar-e-bazm
saare hii shaiKH kha.De ho ga.e iimaan-ba-kaf
Ameen Tirmizi
Sher
qulzum-e-fikr me.n hai kashtii-e-iimaa.n saalim
naa-KHudaa husn hai aur ishq hai la.ngar apnaa
Sahir Dehlavi
Sher
rashk se naam nahii.n lete ki sun le na ko.ii
dil hii dil me.n use ham yaad kiyaa karte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Gariibii naam hai jis kaa azaab-e-jaan hotii hai
magar daulat kii kasrat mohlik-e-iimaan hotii hai
Zameer Atraulvi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai