SEARCH RESULTS
Showing search results for "aani-e-faanii"
Sher MATCHES FOR "aani-e-faanii"
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
chaman se ruKHsat-e-‘faanii’ qariib hai shaayad
ki ab ke buu-e-kafan daaman-e-bahaar me.n hai
Fani Badayuni
Sher
dil saraapaa dard thaa vo ibtidaa-e-ishq thii
intihaa ye hai ki 'faanii' dard ab dil ho gayaa
Fani Badayuni
Sher
faanii davaa-e-dard-e-jigar zahr to nahii.n
kyuu.n haath kaa.nptaa hai mire chaarasaaz kaa
Fani Badayuni
Sher
Fani Badayuni
Sher
zamaana bar-sar-e-aazaar thaa magar 'faanii'
ta.Dap ke ham ne bhii ta.Dpaa diyaa zamaane ko
Fani Badayuni
Sher
dil-e-aabaad kaa 'faanii' ko.ii mafhuum nahii.n
haa.n magar jis me.n ko.ii hasrat-e-barbaad rahe
Fani Badayuni
Sher
'faanii' du.aa-e-marg kii takraar kyaa zaruur
Gaafil nahii.n ki un se taqaazaa kare ko.ii
Fani Badayuni
Sher
vahshat ham apnii ba.ad-e-fanaa chho.D jaa.e.n
ab tum phiroge chaak garebaa.n kiye hu.e
Arzoo Lakhnavi
Sher
hai.n yaadgaar-e-aalam-e-faanii ye dono.n chiiz
us kii jafaa aur apnii vafaa likh rakhe.nge ham
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
lafz kii buhtaat itnii naqd o fan me.n aa ga.ii
masKH ho kar suurat-e-ma.anii suKHan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
haath aa.e karaamat ko kyaa aalam-e-faanii se
aaya hai bashar tanhaa jaa.egaa bashar KHaalii
Karamat Ali Karamat
Sher
Zaheer Kashmiri
Sher
Muneer Niyazi
Sher
is aalam-e-faanii me.n sadaa kaun rahaa hai
ik naam hai allaah kaa ik naqsh-e-vafaa hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
is jahaa.n me.n nahii.n ko.ii ahl-e-vafaa
ai 'fanaa' is jahaa.n se kinaaraa karo