SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaq-naame"
Sher MATCHES FOR "aaq-naame"
Sher
chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko KHvaab o KHayaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
ab naam nahii.n kaam kaa qaa.el hai zamaana
ab naam kisii shaKHs kaa raavan na milegaa
Anwar Jalalpuri
Sher
tazkire me.n tire ik naam ko yuu.n jo.D diyaa
dosto.n ne mujhe shiishe kii tarah to.D diyaa
Bashir Farooqi
Sher
ik na.e tarz pe aabaad kare.nge us ko
ham tire shahr kii pahchaan uThaa laa.e hai.n
Shahid Kamal
Sher
ho.nTo.n ko roz ik na.e dariyaa kii aarzuu
le jaa.egii ye pyaas kii aavaargii kahaa.n
Waseem Barelvi
Sher
ik naam kyaa likhaa tiraa saahil kii ret par
phir umr bhar havaa se mirii dushmanii rahii
Shakil Akhtar
Sher
is na.e saal ke svaagat ke liye pahle se
ham ne poshaak udaasii kii silaa ke rakh lii
Sidra Sahar Imran
Sher
Tapak ke diida-e-nam se sadaa.e.n detaa hai
jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah me.n thaa
Khalid Mubashshir
Sher
ik na.e Gam se kinaaraa bhii to ho saktaa hai
ishq phir ham ko dobaaraa bhii to ho saktaa hai
Nazir Wahid
Sher
khi.nchii hu.ii thii ko.ii aur naam kii rekhaa
tumhaare haath pe taqdiir ne lagaa.ii hinaa
Riasath Ali Asrar
Sher
phir ik na.e safar pe chalaa huu.n makaan se
ko.ii pukaartaa hai mujhe aasmaan se
Abdur Rahim Nashtar
Sher
tamaam umr kisii aur naam se mujh ko
pukaartaa rahaa ik ajnabii zabaan me.n vo
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
tumhaare ishq me.n ham na.ng-o-naam bhuul ga.e
jahaa.n me.n kaam the jitne tamaam bhuul ga.e