SEARCH RESULTS
Showing search results for "aavaara-o-bekaar"
Sher MATCHES FOR "aavaara-o-bekaar"
Sher
jii jalaa.egaa ye aavaara o be-dar honaa
dil dukhaa.e.nge ye mahke hu.e ghar ab ke baras
Irshad Arshii
Sher
aavaara o majnuu.n hii pe mauquuf nahii.n kuchh
milne hai.n abhii mujh ko KHitaab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
ik chaa.nd hai aavaara-o-betaab o falak-taab
ik chaa.nd hai aasuudgii-e-hijr kaa maaraa
Syed Amin Ashraf
Sher
ham to aavaara-e-sahraa hai.n hame.n kyaa matlab
un kii mahfil me.n junuu.n kii ko.ii tauqiir sahii
Arshi Bhopali
Sher
Aziz Hamid Madni
Sher
A. D. Azhar
Sher
'bedaar' raah-e-ishq kisii se na tai hu.ii
sahraa me.n qais koh me.n farhaad rah gayaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
saamaan-e-dil ko be-sar-o-saamaaniyaa.n milii.n
kuchh aur bhii javaab the mere savaal ke
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
sharaab o saaqii-e-mah-ruu jo saath ho.n 'bedaar'
to KHush-numaa hai shab-e-maahtaab me.n dariyaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taala-e-bedaar ne sone na diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
hijr ik vaqfa-e-bedaar hai do nii.ndo.n me.n
vasl ik KHvaab hai jis kii ko.ii ta.abiir nahii.n
Ahmad Mushtaq
Sher
vasl kii raat KHushii ne mujhe sone na diyaa
mai.n bhii bedaar rahaa taale-e-bedaar ke saath
Jaleel Manikpuri
Sher
idhar kone me.n jo ik majlis-e-bedaar baiThii hai
kiraa.e par election ke liye tayyaar baiThii hai
Syed Zameer Jafri
Sher
sahar kii guu.nj se aavaaza-e-jamaal hu.aa
so jaagtaa rahaa atraaf ko jagaa.e hu.e
Afzaal Naveed
Sher
har shaKHs yahaa.n gumbad-e-be-dar kii tarah hai
aavaaz pe aavaaz do suntaa nahii.n ko.ii
Mohsin Zaidi
Sher
ko.ii sadaa ko.ii aavaaza-e-jaras hii sahii
ko.ii bahaana ki ham jaa.n nisaar karte rahe.n
Kabir Ajmal
Sher
hasrat pe us musaafir-e-be-kas kii ro.iye
jo thak gayaa ho baiTh ke manzil ke saamne