SEARCH RESULTS
Showing search results for "abhiimaan"
Sher MATCHES FOR "abhiimaan"
Sher
idhar falak ko hai zid bijliyaa.n giraane kii
udhar hame.n bhii hai dhun aashiyaa.n banaane kii
Unknown
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
tamaam umr isii ehtiyaat me.n guzrii
ki aashiyaa.n kisii shaaKH-e-chaman pe baar na ho
Meer Anees
Sher
Dartaa huu.n aasmaan se bijlii na gir pa.De
sayyaad kii nigaah suu-e-aashiyaa.n nahii.n
Momin Khan Momin
Sher
mat baiTh aashiyaa.n me.n paro.n ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa me.n u.Daan kaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
hazaar aarzuu ho tum yaqii.n ho tum gumaa.n ho tum
qafas-nasiib ruuh kii umiid-e-aashiyaa.n ho tum
Ijtiba Rizvi
Sher
a.ndherii shab me.n bhii taamiir-e-aashiyaa.n na ruke
nahii.n charaaG to kyaa barq to chamaktii hai
Sahir Ludhianvi
Sher
chaman ko aag lagaave hai baaGbaa.n har roz
nayaa banaa.uu.n huu.n mai.n apnaa aashiyaa.n har roz
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
bahaana mil na jaa.e bijliyo.n ko TuuT pa.Dne kaa
kaleja kaa.nptaa hai aashiyaa.n ko aashiyaa.n kahte
Asar Lakhnavi
Sher
hamesha tinke hii chunte guzar ga.ii apnii
magar chaman me.n kahii.n aashiyaa.n banaa na sake
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Unknown
Sher
fazaa kaa ta.ng honaa fitrat-e-aazaad se puuchho
par-e-parvaaz hii kyaa jo qafas ko aashiyaa.n samjhe
Figar Unnavi
Sher
Jan Nisar Akhtar
Sher
ab bijliyo.n kaa KHauf bhii dil se nikal gayaa
KHud meraa aashiyaa.n mirii aaho.n se jal gayaa
Unknown
Sher
Hasan Najmi Sikandarpuri
Sher
tinko.n se khelte hii rahe aashiyaa.n me.n ham
aayaa bhii aur gayaa bhii zamaana bahaar kaa
Fani Badayuni
Sher
muddate.n hu.ii.n ab to jal ke aashiyaa.n apnaa
aaj tak ye aalam hai raushnii se Dartaa huu.n
Qamar Jalalvi
Sher
qafas vaalo.n kii bhii kyaa zindagii hai
chaman duur aashiyaa.n duur aasmaa.n duur