SEARCH RESULTS
Showing search results for "abrak"
Sher MATCHES FOR "abrak"
Sher
Ibrat Machlishahri
Sher
kyuu.n pashemaa.n ho agar va.ada vafaa ho na sakaa
kahii.n va.ade bhii nibhaane ke liye hote hai.n
Ibrat Machlishahri
Sher
sirf itne ke liye aa.nkhe.n hame.n baKHshii ga.ii.n
dekhiye duniyaa ke manzar aur ba-ibrat dekhiye
Josh Malihabadi
Sher
zindagii kam pa.Dhe pardesii kaa KHat hai 'ibrat'
ye kisii tarah pa.Dhaa jaa.e na samjhaa jaa.e
Ibrat Machlishahri
Sher
KHud-kushii jurm bhii hai sabr kii tauhiin bhii hai
is liye ishq me.n mar mar ke jiyaa jaataa hai
Ibrat Siddiqui
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
dillii ke na the kuuche auraaq-e-musavvar the
jo shakl nazar aa.ii tasviir nazar aa.ii
Meer Taqi Meer
Sher
zamaana aql ko samjhaa hu.aa hai mish.al-e-raah
kise KHabar ki junuu.n bhii hai saahib-e-idraak
Allama Iqbal
Sher
har ek aa.nkh me.n hotii hai muntazir ko.ii aa.nkh
har ek dil me.n kahii.n kuchh jagah nikaltii hai
Abrar Ahmad
Sher
apnii Gurbat kii kahaanii ham sunaa.e.n kis tarah
raat phir bachcha hamaaraa rote rote so gayaa
Ibrat Machlishahri
Sher
sunaa hai Duub ga.ii be-hisii ke dariyaa me.n
vo qaum jis ko jahaa.n kaa amiir honaa thaa
Ibrat Machlishahri
Sher
zamii.n ke jism ko Tuk.Do.n me.n baa.nTne vaalo
kabhii ye Gaur karo kaa.enaat kis kii hai
Ibrat Machlishahri
Sher
manzil-e-ibrat hai duniyaa ahl-e-duniyaa shaad hai.n
aisii dil-jam.ii se hotii hai pareshaanii mujhe
Chakbast Braj Narayan
Sher
hai par-e-sarhad-e-idraak se apnaa masjuud
qible ko ahl-e-nazar qibla-numaa kahte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
vo yuu.n subuut-e-uruuj-o-zavaal detaa thaa
uThaa ke haath me.n patthar uchhaal detaa thaa