SEARCH RESULTS
Showing search results for "aharfi"
Sher MATCHES FOR "aharfi"
Sher
ye sard raat ye aavaargii ye nii.nd kaa bojh
ham apne shahr me.n hote to ghar ga.e hote
Ummeed Fazli
Sher
'shaad' Gair-mumkin hai shikva-e-butaa.n mujh se
mai.n ne jis se ulfat kii us ko baa-vafaa paayaa
Shaad Aarfi
Sher
kaTtii hai aarzuu ke sahaare pe zindagii
kaise kahuu.n kisii kii tamannaa na chaahiye
Shaad Aarfi
Sher
ho.nTo.n ko roz ik na.e dariyaa kii aarzuu
le jaa.egii ye pyaas kii aavaargii kahaa.n
Waseem Barelvi
Sher
chalaa thaa mai.n to samundar kii tishnagii le kar
milaa ye kaisaa saraabo.n kaa silsila mujh ko
Urfi Aafaqi
Sher
logo bhalaa is shahr me.n kaise jiye.nge ham jahaa.n
ho jurm tanhaa sochnaa lekin sazaa aavaargii
Mohsin Naqvi
Sher
dekh kar shaa.ir ne us ko nukta-e-hikmat kahaa
aur be-soche zamaane ne use ''aurat'' kahaa
Shaad Aarfi
Sher
ra.ng laa.egii hamaarii ta.ng-dastii ek din
misl-e-Gaalib 'shaad' gar sab kuchh udhaar aataa gayaa
Shaad Aarfi
Sher
merii allaah se bas itnii du.aa hai 'raashid'
mai.n jo urdu me.n vasiiyat likhuu.n beTaa pa.Dh le
Rashid Arfi
Sher
aap ke jaate hii ham ko lag ga.ii aavaargii
aap ke jaate hii ham se ghar nahii.n dekhaa gayaa