SEARCH RESULTS
Showing search results for "akaal"
Sher MATCHES FOR "akaal"
Sher
Allama Iqbal
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho
Allama Iqbal
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to jab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
Allama Iqbal
Sher
apne man me.n Duub kar paa jaa suraaG-e-zindagii
tuu agar meraa nahii.n bantaa na ban apnaa to ban
Allama Iqbal
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
shaaKHo.n se TuuT jaa.e.n vo patte nahii.n hai.n ham
aa.ndhii se ko.ii kah de ki auqaat me.n rahe
Rahat Indori
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai