SEARCH RESULTS
Showing search results for "akhaa.De"
Sher MATCHES FOR "akhaa.De"
Sher
aaGaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil me.n tamannaa thii ab dil hii tamannaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
aaGaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
guzraa hai jo kuchh ham par tum ne bhii sunaa hogaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
sar-zamiin-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq'
qaafile baste ga.e hindostaa.n bantaa gayaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
kyaa tujhe ilm nahii.n terii razaa kii KHaatir
mai.n ne kis kis ko zamaane me.n KHafaa rakkhaa hai
Akhlaque Bandvi
Sher
TuuT saktaa hai chhalak saktaa hai chhin saktaa hai
itnaa soche to ko.ii jaam uchhaale kaise
Idris Babar
Sher
kisii ke lams kii taasiir hai ki barso.n ba.ad
mirii kitaabo.n me.n ab bhii gulaab jaagte hai.n
Akhlaque Bandvi
Sher
Parvindar shokh
Sher
pyaar vo pe.D hai sau baar ukhaa.Do dil se
phir bhii siine me.n ko.ii daab salaamat rah jaa.e
Jaleel 'Aali'
Sher
abhii aaGaaz-e-mohabbat hai kuchh is kaa anjaam
tujh ko ma.aluum hai ai diida-e-nam kyaa hogaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aaGaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
''ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai''
Sarwar Alam Raz
Sher
hame.n KHabar hai ki ham hai.n charaaG-e-aaKHir-e-shab
hamaare baa'd a.ndheraa nahii.n ujaalaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
iqraar-e-mohabbat to ba.Dii baat hai lekin
inkaar-e-mohabbat kii adaa aur hii kuchh hai
Akhtar Muslimi
Sher
aaGaaz-e-ishq umr kaa anjaam ho gayaa
naakaamiyo.n ke Gam me.n miraa kaam ho gayaa