SEARCH RESULTS
Showing search results for "aks-e-shabaab"
Sher MATCHES FOR "aks-e-shabaab"
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
aks-e-KHayaal-e-yaar sa.nvaaraa kare.nge ham
shiishe me.n aa.ine ko utaaraa kare.nge ham
Junaid Akhtar
Sher
subuu me.n aks-e-ruKH-e-maahtaab dekhte hai.n
sharaab piite nahii.n ham sharaab dekhte hai.n
Arif Imam
Sher
hai merii aa.nkho.n me.n aks-e-navishta-e-diivaar
samajh sako to miraa nutq-e-be-e-zabaa.n le lo
Farhan Salim
Sher
maanaa ki rang ra.ng tiraa pairahan bhii hai
par is me.n kuchh karishma-e-aks-e-badan bhii hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
sambhaalaa hosh to marne lage hasiino.n par
hame.n to maut hii aa.ii shabaab ke badle
Sukhan dehlvi
Sher
abhii gunaah kaa mausam hai aa shabaab me.n aa
nasha utarne se pahle mirii sharaab me.n aa
Abdullah Kamal
Sher
teraa hii raqs silsila-e-aks-e-KHvaab hai
is ashk-e-niim-shab se shab-e-maahtaab tak
Azhar Naqvi
Sher
ajiib haal thaa ahd-e-shabaab me.n dil kaa
mujhe gunaah bhii kaar-e-savaab lagtaa thaa
Hira Nand Soz
Sher
sitaara aa.nkh me.n dil me.n gulaab kyaa rakhnaa
ki Dhaltii umr me.n ra.ng-e-shabaab kyaa rakhnaa