SEARCH RESULTS
Showing search results for "amanat-ali-khan"
Sher MATCHES FOR "amanat-ali-khan"
Sher
jis KHaak se kahte ho vafaa ham nahii.n karte
so.e hai.n usii KHaak me.n sultaan hazaaro.n
Azhar Hashmi Sabqat
Sher
kal jahaa.n zulm ne kaaTii thii.n saro.n kii fasle.n
nam hu.ii hai to usii KHaak se lashkar niklaa
Waheed Akhtar
Sher
KHaak ne kitne bad-atvaar kiye hai.n paidaa
ye na hote to usii KHaak se kyaa kyaa hotaa
Anjum Azmi
Sher
havaa-e-vahshat dil le u.Dii kahaa.n se kahaa.n
pa.Dii hai duur zamii.n gard-e-kaarvaa.n kii tarah
Bayan Meeruthi
Sher
ishq KHud sikhaataa hai saarii hikmate.n 'aalii'
naqd-e-dil kise denaa baar-e-sar kahaa.n rakhnaa
Jaleel 'Aali'
Sher
tar rakhiyo sadaa yaa-rab tuu is mizha-e-tar ko
ham itr lagaate hai.n garmii me.n isii KHas kaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
ab na vo ahbaab zinda hai.n na rasm-ul-KHat vahaa.n
ruuTh kar urdu to dehlii se dakan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
Baqaullah 'Baqa'
Sher
us ke ruKHsaar pe hai aur tire ho.nT pe til
tilmilaane kii ijaazat nahii.n dii jaa.egii
Inayat Ali Khan
Sher
is se andesha-e-fardaa kii ju.e.n jha.Dtii hai.n
sar khujaane kii ijaazat nahii.n dii jaa.egii
Inayat Ali Khan
Sher
ashko.n ke nishaa.n parcha-e-saada pe hai.n qaasid
ab kuchh na bayaa.n kar ye ibaarat hii bahut hai
Ehsan Ali Khan
Sher
phir to tum sar pe uThaa loge zamaane-bhar ko
sar uThaane kii ijaazat nahii.n dii jaa.egii
Inayat Ali Khan
Sher
aap jis dil se gurezaa.n the usii dil se mile
dekhiye Dhuu.nDh nikaalaa hai kahaa.n se mai.n ne
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
kaash daulat-e-Gam hii apne paas bach rahtii
vo bhii un ko de baiThe aisii maat khaa.ii hai