SEARCH RESULTS
Showing search results for "ambiyaa"
Sher MATCHES FOR "ambiyaa"
Sher
mirii nigaah me.n vo ri.nd hii nahii.n saaqii
jo hoshiyaarii o mastii me.n imtiyaaz kare
Allama Iqbal
Sher
kuchh ho rahegaa ishq-o-havas me.n bhii imtiyaaz
aayaa hai ab mizaaj tiraa imtihaan par
Meer Taqi Meer
Sher
ye imtiyaaz zaruurii hai ab ibaadat me.n
vahii du.aa jo nazar kar rahii hai lab bhii kare.n
Abhishek Shukla
Sher
mushkil hai imtiyaaz-e-azaab-o-savaab me.n
piitaa huu.n mai.n sharaab milaa kar gulaab me.n
Aziz Hyderabadi
Sher
yahii to kufr hai yaaraan-e-be-KHudii ke huzuur
jo kufr-o-dii.n kaa mire yaar imtiyaaz rahaa
Mirza Ali Lutf
Sher
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz KHudaa-daad nahii.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
imtiyaaz-e-suurat-o-ma.anii se begaana hu.aa
aa.ine ko aa.ina hairaa.n ko hairaa.n dekh kar
Yagana Changezi
Sher
Thokar zaraa sii 'ishq me.n kyaa lag ga.ii ki bas
ban.ne nikal pa.De hai.n sabhii 'jaun-eliyaa'
Ananth Faani
Sher
Amulya Mishra
Sher
ab imtiyaaz-e-zaahir-o-baatin bhii miT gayaa
dil chaak ho rahaa hai garebaa.n ke saath saath
Azeem Murtaza
Sher
har shaKHs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huu.n mai.n
phir adliya ne kyuu.n sar-e-maqtal kiyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
kuchh ham ko imtiyaaz nahii.n saaf o durd kaa
ai saaqiyaan-e-bazm bayaariid harche hast
Nazeer Akbarabadi
Sher
ahliya bolii 'ibaarat sab se mauzuu.n hai yahii
dafn hai beva yahaa.n par maulvii marhuum kii