SEARCH RESULTS
Showing search results for "anwarul hasan anwar"
Sher MATCHES FOR "anwarul hasan anwar"
Sher
bhuulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barso.n
dil-e-viiraa.n ko yuu.n aabaad kiyaa hai barso.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
kuchh andaliib kaa KHuun jigar bhii hai shaamil
gulo.n kii bazm kii ra.ngiiniyaa.n ba.Dhaane me.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
sukuun-e-dil na mayassar hu.aa zamaane me.n
na yaad rakhne me.n tum ko na bhuul jaane me.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane
musiibato.n se jo ghabraa gayaa zamaane me.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
ye avadh hai ki jahaa.n shaam kabhii KHatm nahii.n
vo banaras hai jahaa.n roz sahar hotii hai
Anwarul Hasan Anwar
Sher
ab tire hijr me.n yuu.n umr basar hotii hai
shaam hotii hai to ro ro ke sahar hotii hai
Anwarul Hasan Anwar
Sher
bijlii girii thii kab ye kisii ko KHabar nahii.n
ab tak chaman me.n aag lagii hai bahaar me.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
be-KHayaalii me.n bhii phir un kaa KHayaal aataa hai
vahii tasviir mire pesh-e-nazar hotii hai
Anwarul Hasan Anwar
Sher
saath jo de na sakaa raah-e-vafaa me.n apnaa
be-iraada bhii use yaad kiyaa hai barso.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
jaagtii aa.nkh se jo KHvaab thaa dekhaa 'anvar'
us kii ta.abiir mujhe dil ke jalaane se milii
Anwar Sadeed
Sher
ko.ii bhii pechiidgii haa.el nahii.n anvar-'sadiid'
zindagii hai saamne manzar-ba-manzar aur mai.n
Anwar Sadeed
Sher
Anwar Jamal Anwar
Sher
palko.n ke sitaare bhii u.Daa le ga.ii 'anvar'
vo dard kii aa.ndhii kii sar-e-shaam chalii thii
Anwar Masood
Sher
sirf mehnat kyaa hai 'anvar' kaamyaabii ke liye
ko.ii uupar se bhii telephone honaa chaahiye