SEARCH RESULTS
Showing search results for "apne-aap"
Sher MATCHES FOR "apne-aap"
Sher
shaiKH kuchh apne-aap ko samjhe.n
mai-kasho.n kii nazar me.n kuchh bhii nahii.n
Sharaf Mujaddidi
Sher
mai.n apne aap se aage nikalne vaalaa thaa
so KHud ko apnii nazar se giraa ke baiTh gayaa
Fazil Jamili
Sher
KHud apne aap se lenaa thaa intiqaam mujhe
mai.n apne haath ke patthar se sa.ngsaar hu.aa
Ibrahim Ashk
Sher
aage nikal ga.e the zaraa apne-aap se
ham ko 'habiib' KHud kii taraf lauTnaa pa.Daa
Habeeb Hyderabadi
Sher
vo log apne aap me.n kitne aziim the
jo apne dushmano.n se bhii nafrat na kar sake
Khaleel Tanveer
Sher
mai.n apne aap la.Duu.ngaa samundaro.n se ja.ng
ab e'timaad mujhe apne naaKHudaa pe nahii.n
Mubeen Mirza
Sher
KHud apne aap se larzaa.n rahii ulajhtii rahii
uThaa na baar-e-garaa.n raat kii javaanii se
Jalib Nomani
Sher
muddat hu.ii hai bichh.De hu.e apne-aap se
dekhaa jo aaj tum ko to ham yaad aa ga.e
Saghar Khayyami
Sher
ab apne-aap ko KHud Dhuu.nDhtaa huu.n
tumhaarii khoj me.n niklaa hu.aa mai.n
Irshad Khan Sikandar
Sher
ab tak to apne aap se piichhaa na chhuT sakaa
mumkin hai kal se aap ke haq me.n du.aa karuu.n
Shehpar Rasool
Sher
mai.n apne aap me.n gahraa utar gayaa shaayad
mire safar se alag ho ga.ii ravaanii mirii
Abbas Tabish
Sher
shikaayat us se nahii.n apne-aap se hai mujhe
vo bevafaa thaa to mai.n aas kyuu.n lagaa baiThaa
Sabir Zafar
Sher
mujhe pahu.nchnaa hai bas apne-aap kii had tak
mai.n apnii zaat ko manzil banaa ke chaltaa huu.n
Khaleel Mamoon
Sher
jo apne aap se ba.Dh kar hamaaraa apnaa thaa
use qariib se dekhaa to duur kaa niklaa