SEARCH RESULTS
Showing search results for "araa"
Sher MATCHES FOR "araa"
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Hasrat Mohani
Sher
har-chand mirii quvvat-e-guftaar hai mahbuus
KHaamosh magar tab-e-KHud-aaraa nahii.n hotii
Sahir Ludhianvi
Sher
hazaar husn dil-aaraa-e-do-jahaa.n hotaa
nasiib ishq na hotaa to raa.egaa.n hotaa
Ravish Siddiqi
Sher
choT jab dil par lage fariyaad paidaa kyuu.n na ho
ai sitam-aaraa jo aisaa ho to aisaa kyuu.n na ho
Hasan Barelvi
Sher
ham vo daraKHt hai.n ki jise dam-ba-dam ajal
arra idhar dikhaatii hai uudhar tabar qazaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
KHalvat-e-naaz me.n kuchh aur hii raunaq hotii
ko.ii KHalvat me.n agar anjuman-aaraa hotaa
Nazneen Begum Naz
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
agar tumhaarii anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo mai.n haath ba.Dhaataa huu.n dostii ke liye
Ahmad Faraz
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
gaahe gaahe kii mulaaqaat hii achchhii hai 'amiir'
qadr kho detaa hai har roz kaa aanaa jaanaa
Ameer Minai
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
haa.n Thiik hai mai.n apnii anaa kaa mariiz huu.n
aaKHir mire mizaaj me.n kyuu.n daKHl de ko.ii
Jaun Eliya
Sher
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa