SEARCH RESULTS
Showing search results for "as.haab-e-manzil"
Sher MATCHES FOR "as.haab-e-manzil"
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
mere talvo.n ke lahuu se hogii raushan har jihat
rah-ravaan-e-raah-e-manzil ho.nge shashdar dekhnaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
jaa rahaa huu.n jis taraf le jaa rahaa hai dil mujhe
Jigar Moradabadi
Sher
KHumaar-e-qurbat-e-manzil thaa naa-rasii kaa javaaz
galii me.n aa ke mai.n us kaa makaan bhuul gayaa
Anjum Khaleeq
Sher
kufr-o-islaam ne maqsad ko pahu.nchne na diyaa
ka.aba-o-dair ko sa.ng-e-rah-e-manzil samjhaa
Muneer Shikohabadi
Sher
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Abdul Rahman Bazmi
Sher
rukuu.n to hujla-e-manzil pukaartaa hai mujhe
qadam uThaa.uu.n to rasta nazar nahii.n aataa
Najeeb Ahmad
Sher
jaras ne muzhda-e-manzil sunaa ke chau.nkaayaa
nikal chalaa thaa dabe paa.nv kaarvaa.n apnaa
Yagana Changezi
Sher
jiine vaalo.n se kaho ko.ii tamannaa Dhuu.nDe.n
ham to aasuuda-e-manzil hai.n hamaaraa kyaa hai
Mahmood Ayaz
Sher
manzil pe nazar aa.ii bahut duurii-e-manzil
be-saaKHta aane lage sab raah-numaa yaad
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
ishq aataa na agar raah-numaa.ii ke liye
aap bhii vaaqif-e-manzil nahii.n hone paate
Saba Akbarabadi
Sher
yaqiinan rahbar-e-manzil kahii.n par raastaa bhuulaa
vagarna qaafile ke qaafile gum ho nahii.n sakte
Nisar Itavi
Sher
us musaafir kii naqaahat kaa Thikaana kyaa hai
sa.ng-e-manzil jise diivaar nazar aane lage
Saifuddin Saif
Sher
vo saamne sar-e-manzil charaaG jalte hai.n
javaab paa.nv na dete to mai.n kahaa.n hotaa