SEARCH RESULTS
Showing search results for "asaase"
Sher MATCHES FOR "asaase"
Sher
asaas-e-jism uThaa.uu.n na.e sire se magar
ye sochtaa huu.n ki miTTii mirii KHaraab to ho
Aftab Hussain
Sher
ek charaaG aur ek kitaab aur ek ummiid asaasa
us ke baa'd to jo kuchh hai vo sab afsaana hai
Iftikhar Arif
Sher
kuchh to ehsaas-e-mohabbat se hu.ii.n nam aa.nkhe.n
kuchh tirii yaad ke baadal bhii bhigo jaate hai.n
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
jaise ho umr bhar kaa asaasa Gariib kaa
kuchh is tarah se mai.n ne sambhaale tumhaare KHat
Wasi Shah
Sher
ye KHud-e-farebi-e-ehsaas-e-aarzuu to nahii.n
tirii talaash kahii.n apnii justujuu to nahii.n
Ummeed Fazli
Sher
shab-e-furqat nazar aate nahii.n aasaar-e-sahar
itnii zulmat hai ruKH-e-sham.a pe bhii nuur nahii.n
Barq Dehlvi
Sher
ye laash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaa.n kii hai
haq maGfirat kare ajab aazaad mard thaa
Mirza Ghalib
Sher
go mujhe ehsaas-e-tanhaa.ii rahaa shiddat ke saath
kaaT dii aadhii sadii ek ajnabii aurat ke saath
Anwar Shuoor
Sher
nii.nd TuuTii hai to ehsaas-e-ziyaa.n bhii jaagaa
dhuup diivaar se aa.ngan me.n utar aa.ii hai
Sarshar Siddiqui
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
adaa hu.aa hai jo ik lafz be-asaas na ho
miraa KHudaa kahii.n merii tarah udaas na ho
Ameer Qazalbash
Sher
aasaar-e-ishq aa.nkho.n se hone lage ayaa.n
bedaarii kii taraqqii hu.ii KHvaab kam hu.aa
Haidar Ali Aatish
Sher
rahnaa tum chaahe jahaa.n KHabro.n me.n aate rahnaa
ham ko ehsaas-e-judaa.ii se bachaate rahnaa
Wamiq Jaunpuri
Sher
isii liye hame.n ehsaas-e-jurm hai shaayad
abhii hamaarii mohabbat na.ii na.ii hai naa
Afzal Khan
Sher
khii.nch laayaa tujhe ehsaas-e-mohabbat mujh tak
ham-safar hone kaa teraa bhii iraada kab thaa
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
aasaar-e-rihaa.ii hai.n ye dil bol rahaa hai
sayyaad sitamgar mire par khol rahaa hai