SEARCH RESULTS
Showing search results for "ashk-bar-ashk"
Sher MATCHES FOR "ashk-bar-ashk"
Sher
nahii.n hai tum me.n saliiqa jo ghar banaane kaa
to 'ashk' jaa.o parindo.n ke aashiyaa.n dekho
Ibrahim Ashk
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
kisii maraz kii davaa chashm-e-ashk-baar nahii.n
na intizaar ke qaabil na KHvaab ke qaabil
Jaleel Manikpuri
Sher
Anwar Sabri
Sher
yahii nahii.n ki nigaaho.n ko ashk-baar kiyaa
tire firaaq me.n daaman bhii taar taar kiyaa
Iqbal Kaifi
Sher
maanind-e-shama.a-majlis shab ashk-baar paayaa
al-qissa 'miir' ko ham be-iKHtiyaar paayaa
Meer Taqi Meer
Sher
tumhaarii yaad kaa chehra hamaare dard kaa rang
nikhar ga.e hai.n sabhii ashk-baar hone se
Ambareen Haseeb ambar
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Gazab hu.aa ki in aa.nkho.n me.n ashk bhar aa.e
nigaah-e-yaas se kuchh aur kaam lenaa thaa
Ali Jawad Zaidi
Sher
mumkin hai ashk ban ke rahuu.n chashm-e-yaar me.n
mumkin hai bhuul jaa.e Gam-e-rozgaar me.n
Yaseen Zameer
Sher
kis mu.nh se phir tuu aap ko kahtaa hai ishq-baaz
ai ruu-siyaah tujh se to ye bhii na ho sakaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ashk-baarii se Gam-o-dard kii khetii-baa.Dii
lahlahii sii nazar aatii hai harii rahtii hai
Waliullah Muhib
Sher
KHuun-e-jigar ke qatre aur ashk ban ke Tapke.n
kis kaam ke liye the kis kaam aa rahe hai.n