SEARCH RESULTS
Showing search results for "ashre"
Sher MATCHES FOR "ashre"
Sher
'umr saarii to kaTii 'ishq-e-butaa.n me.n 'momin'
aaKHirii vaqt me.n kyaa KHaak musalmaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
aa.nkho.n se mohabbat ke ishaare nikal aa.e
barsaat ke mausam me.n sitaare nikal aa.e
Mansoor Usmani
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
fikr-e-ma.aash ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
is zindagii me.n ab ko.ii kyaa kyaa kiyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ashk-e-Gam diida-e-pur-nam se sambhaale na ga.e
ye vo bachche hai.n jo maa.n baap se paale na ga.e
Meer Anees
Sher
ye adaa.e.n ye ishaare ye hasii.n qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde me.n hai inkaar kii baat
Khalid Yusuf
Sher
us jagah jaa ke vo baiThaa hai bharii mahfil me.n
ab jahaa.n mere ishaare bhii nahii.n jaa sakte
Farhat Ehsas
Sher
ab to hai ishq-e-butaa.n me.n zindagaanii kaa maza
jab KHudaa kaa saamnaa hogaa to dekhaa jaa.egaa
Akbar Allahabadi
Sher
ik raat dil-jalo.n ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam me.n Daal de
Jalal Lakhnavi
Sher
mire KHudaa ne kiyaa thaa mujhe asiir-e-bahisht
mire gunah ne rihaa.ii mujhe dilaa.ii hai
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
asr-e-nau mujh ko nigaaho.n mai.n chhupaa kar rakh le
ek miTtii hu.ii tahziib kaa sarmaaya huu.n
Mazhar Imam
Sher
ham hai.n asiir-e-zabt ijaazat nahii.n hame.n
ro paa rahe hai.n aap badhaa.ii hai ro.iye
Abbas Qamar
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
kisii ke ek ishaare me.n kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist milii maut ko bahaana milaa
Fani Badayuni
Sher
haal kah dete hai.n naazuk se ishaare akasr
kitnii KHaamosh nigaaho.n kii zabaa.n hotii hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
vo boltaa thaa magar lab nahii.n hilaataa thaa
ishaara kartaa thaa jumbish na thii ishaare me.n
Iqbal Sajid
Sher
aa.nkh ke ek ishaare se kiyaa gul us ne
jal rahaa thaa jo diyaa itnii havaa hote hu.e