SEARCH RESULTS
Showing search results for "asr-e-nau-raat"
Sher MATCHES FOR "asr-e-nau-raat"
Sher
asr-e-nau mujh ko nigaaho.n mai.n chhupaa kar rakh le
ek miTtii hu.ii tahziib kaa sarmaaya huu.n
Mazhar Imam
Sher
ye abr-e-nau hamaare kisii kaam kaa nahii.n
un ko pasand hii nahii.n baarish me.n bhiignaa
Yasir Tahsin
Sher
chaman me.n shab ko ghiraa abr-e-nau-bahaar rahaa
huzuur aap kaa kyaa kyaa na intizaar rahaa
Mirza Shauq Lakhnavi
Sher
vo shauq-e-rabt-e-nau me.n kha.Dii jhuultii rahii
mai.n shaaKH-e-e.atibaar se phal kii tarah giraa
Idris Azad
Sher
ik raat dil-jalo.n ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam me.n Daal de
Jalal Lakhnavi
Sher
abr-e-bahaar baad-e-sabaa apnii raah le.n
majnuu.n ko kaa.enaat kisii kaam kii nahii.n
Abdullah Saqib
Sher
shaayad hii raas aa.e mujhe aish-e-marg bhii
'raahii' Gam-e-hayaat kaa maaraa hu.aa huu.n mai.n
Mustafa Rahi
Sher
taa'miir-e-nau ke vaaste bechain thii bahut
chhat gir pa.Dii hai apne shikasta makaan kii
Aasi Faiqi
Sher
Waliullah Muhib
Sher
kaTegii kaise gul-e-nau kii zindagii yaa-rab
ki is Gariib kaa KHaano.n me.n ghar abhii se hai
Salam Sandelvi
Sher
ai sham.a terii umr-e-taabii.ii hai ek raat
ha.ns kar guzaar yaa ise ro kar guzaar de
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
raate.n aish-o-ishrat kii din dukh dard musiibat ke
aatii aatii aatii hai.n jaate jaate jaate hai.n
Mela Ram Wafa
Sher
sab ke liye jahaan me.n abr-e-karam hai.n vo
chaaro.n taraf baraste hai.n ik buu.nd idhar nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Ehtisham ul Haq Siddiqui
Sher
kuchh der fikr aalam-e-baalaa kii chho.D do
is anjuman kaa raaz isii anjuman me.n hai
Asar Lakhnavi
Sher
ai sham.a sub.h hotii hai rotii hai kis liye
tho.Dii sii rah ga.ii hai ise bhii guzaar de
Aish Dehlvi
Sher
miTaa miTaa saa tasavvur hai naaz maazii kaa
hayaat-e-nau hai ab is umr-e-raa.egaa.n se gurez
Nazneen Begum Naz
Sher
un ke baGair nii.nd kahaa.n chashm-e-shauq me.n
ye aur baat hai ki basar raat ho ga.ii
Raaz Muradabadi
Sher
bayaan qissa-e-bechaargii kiyaa jaa.e
jo dil kii rah ga.ii dil me.n use kahaa jaa.e