SEARCH RESULTS
Showing search results for "austin"
Sher MATCHES FOR "austin"
Sher
Saail Dehlvi
Sher
bahaana Dhuu.nDte rahte hai.n ko.ii rone kaa
hame.n ye shauq hai kyaa aastii.n bhigone kaa
Javed Akhtar
Sher
qaatil ne kis safaa.ii se dho.ii hai aastii.n
us ko KHabar nahii.n ki lahuu boltaa bhii hai
Iqbal Azeem
Sher
aastii.n us ne jo kuhnii tak cha.Dhaa.ii vaqt-e-sub.h
aa rahii saare badan kii be-hijaabii haath me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ameer Minai
Sher
jo dosto.n kii mohabbat se jii nahii.n bhartaa
to aastiin me.n do-chaar saa.np paal ke rakh
Anjum Barabankvi
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
puraanaa zahr na.e naam se milaa hai mujhe
vo aastiin nahii.n ke.nchulii badal rahaa thaa
Anjum Saleemi
Sher
aa.nkho.n par apnii rakh kar saahil kii aastii.n ko
ham dil ke Duubne par aa.nsuu bahaa rahe hai.n
Siraj Lakhnavi
Sher
Qalaq Merathi
Sher
na dil me.n lahuu hai na aa.nkho.n me.n aa.nsuu
Gamo.n kii nicho.Dii hu.ii aastii.n huu.n
Manzar Lakhnavi
Sher
mire ghar misl tabarruk ke ye saamaa.n niklaa
aastii.n qais kii farhaad kaa daamaa.n niklaa
Riyaz Khairabadi
Sher
bahaar chaak-e-girebaa.n me.n Thahr jaatii hai
junuu.n kii mauj ko.ii aastii.n me.n hotii hai
Aziz Hamid Madni
Sher
kar pahle dil pe qaabuu jaame kii phir KHabar le
daaman bachaane vaale jaatii hai aastii.n bhii
Arzoo Lakhnavi
Sher
chhupaa.e huu.n mai.n Gam-e-ishq apnii rag rag me.n
na chaak hai miraa daaman na aastii.n nam hai
Jageshwar Dayal Nashtar Kanpuri
Sher
kitne hii saa.np yahaa.n aa ke pa.De rahte hai.n
is liye aastii.n dil se bhii ba.Dii rakkhii hai
Aadil Farhat
Sher
aastiin-e-sabr se baahar na niklegaa agar
hogii dast-e-Gaib kii suurat hamaare haath me.n