SEARCH RESULTS
Showing search results for "ayuu.n"
Sher MATCHES FOR "ayuu.n"
Sher
tum apne rang nahaa.o mai.n apnii mauj u.Duu.n
vo baat bhuul bhii jaa.o jo aanii-jaanii hu.ii
Obaidullah Aleem
Sher
vo tamaashaa huu.n hazaaro.n mire aa.iine hai.n
ek aa.iine se mushkil hai ayaa.n ho jaa.uu.n
Sirajuddin Zafar
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
kahaa.n se laa.uu.n sabr-e-hazrat-e-ayyuub ai saaqii
KHum aa.egaa suraahii aa.egii tab jaam aa.egaa
Shad Azimabadi
Sher
sachchii KHushii kii aas na TuuTe du.aa karo
jhuuTii tasalliyo.n se bahalte rahaa karo
Ayub Fahmi
Sher
rakhte hai.n jo allaah kii qudarat pe bharosa
duniyaa me.n kisii kii vo KHushaamad nahii.n karte
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
yuu.n to ashko.n se bhii hotaa hai alam kaa iz.haar
haa.e vo Gam jo tabassum se ayaa.n hotaa hai
Maqbool Naqsh
Sher
Dhaa.npaa kafan ne daaG-e-uyuub-e-barahnagii
mai.n varna har libaas me.n na.ng-e-vajuud thaa
Mirza Ghalib
Sher
aasaar-e-ishq aa.nkho.n se hone lage ayaa.n
bedaarii kii taraqqii hu.ii KHvaab kam hu.aa
Haidar Ali Aatish
Sher
Aisha Ayub
Sher
raaste me.n mil ga.e to puuchh lete hai.n mizaaj
is se ba.Dh kar aur kyaa un kii inaayat chaahiye
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
Azhar Hashmi Sabqat
Sher
kuchh umr apnii zaat kaa dukh jhelte rahe
kuchh umr kaa.enaat kaa dukh jhelnaa pa.Daa
Aisha Ayub
Sher
hadiis-e-dil ba-zabaan-e-nazar bhii kah na sakaa
huzuur-e-husn ba.Dhii aur bebasii merii
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
kahaa ye mai.n ne bhalaa kab ki mat sazaa diije
magar qusuur to mujh ko miraa bataa diije