SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-KHair"
Sher MATCHES FOR "ba-KHair"
Sher
Jaun Eliya
Sher
yaksaa.n kabhii kisii kii na guzrii zamaane me.n
yaadash-ba-KHair baiThe the kal aashiyaane me.n
Yagana Changezi
Sher
muddat se ko.ii shab nahii.n guzrii hai KHair se
muddat se shab ba-KHair nahii.n kah rahaa ko.ii
Unknown
Sher
yak-ba-yak tark na karnaa thaa mohabbat mujh se
KHair jis tarah se aataa thaa vo aataa jaataa
Haqeer
Sher
gulo.n kii mahfil-e-ra.ngii.n me.n KHaar ban na sake
bahaar aa.ii to ham gulsitaa.n se lauT aa.e
Khatir Ghaznavi
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
dar-ba-dar Thokare.n khaa.ii.n to ye maaluum hu.aa
ghar kise kahte hai.n kyaa chiiz hai be-ghar honaa
Saleem Ahmed
Sher
hamaarii KHair hai lekin bas ik guzaarish hai
hamaare baad kisii se bhii yuu.n nahii.n karnaa
Haseebul Hasan
Sher
jin baato.n ko sun.naa tak baar-e-KHaatir thaa
aaj unhii.n baato.n se dil bahlaa.e hu.e huu.n
Zehra Nigaah
Sher
shaiKH jazaa-e-kaar-e-KHair jo bataa rahaa hai aaj
baat to KHuub hai magar aadmii mo'atabar nahii.n
Natiq Gulavthi
Sher
haDDiyaa.n baap kii guude se hu.ii hai.n KHaalii
kam se kam ab to ye beTe bhii kamaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Sher
kaun rotaa hai kisii aur kii KHaatir ai dost
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
baar-e-KHaatir hii agar hai to inaayat kiije
aap ko husn mubaarak ho miraa dil mujh ko
Taashshuq Lakhnavi
Sher
Raoof Khair
Sher
bas ek pal kii tamannaa-e-vasl kii KHaatir
tamaam 'umr lagaa dii ga.ii sa.nvarne me.n
Wafa Naqvi
Sher
Khatir Ghaznavi
Sher
ham sii.n masto.n ko bas hai terii nigaah
sub.h uTh kar KHumaar kii KHaatir
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
phuul to kyaa KHaar bhii manzuur hai.n
be-ruKHii se yuu.n magar phe.nko nahii.n