SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-dil-e-dast"
Sher MATCHES FOR "ba-dil-e-dast"
Sher
Syed Kamran Zubair Kami
Sher
suu-e-kalkatta jo ham ba-dil-e-diivaana chale
gungunaate hu.e ik shoKH kaa afsaana chale
Akhtar Shirani
Sher
kabhii na badle dil-e-baa-safaa ke taur-tariiq
aduu milaa to use bhii salaam karte rahe
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
uThaa hijaab to bas diin-o-dil diye hii banii
janaab-e-shaiKH ko da.avaa thaa paarsaa.ii kaa
Ismail Merathi
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Dartaa huu.n dekh kar dil-e-be-aarzuu ko mai.n
sunsaan ghar ye kyuu.n na ho mehmaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
dil-e-bad-KHuu kii kisii tarah ra.uunat kam ho
chaahtaa huu.n vo sanam jis me.n mohabbat kam ho
Shefta Mustafa Khan
Sher
dil pe ai dost qayaamat sii guzar jaatii hai
tum nigaah-e-Galat-andaaz se dekhaa na karo
Shahzad Ahmad
Sher
vahii yaksaaniyat-e-shaam-o-sahar hai ki jo thii
zindagii dast-ba-dil KHaak-basar hai ki jo thii
Azeem Murtaza
Sher
yaad-e-faroG-e-dast-e-hinaa.ii na puuchhiye
har zaKHm-e-dil ko rashk-e-namak-daa.n banaa diyaa
Haneef Akhgar
Sher
ai dil-e-be-jur.at itnii bhii na kar be-jur.atii
juz sabaa us gul kaa is dam paasbaa.n ko.ii nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jam.a kar ke dard saare tuu ne paidaa dil kiyaa
kah tuu ai dast-e-qazaa is se kyaa haasil kiyaa
Meer Ziauddin Zia
Sher
liye phiraa jo mujhe dar-ba-dar zamaane me.n
KHayaal tujh ko dil-e-be-qaraar kis kaa thaa
Muneer Niyazi
Sher
sach kahaa hai ki ba-ummiid hai duniyaa qaa.im
dil-e-hasrat-zada bhii teraa tamannaa.ii hai