SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-had"
Sher MATCHES FOR "ba-had"
Sher
baar-haa KHud pe mai.n hairaan bahut hotaa huu.n
ko.ii hai mujh me.n jo bilkul hii judaa hai mujh se
Manmohan Talkh
Sher
yuu.n KHudaa kii KHudaa.ii bar-haq hai
par 'asar' kii hame.n to aas nahii.n
Syed Mohammad Meer Asar
Sher
dil kaa lahuu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-Gam me.n aisii bhii manzil se aa.e hai.n
Ali Jawad Zaidi
Sher
Raghvendra Dwivedi
Sher
vahii hai rang magar buu hai kuchh lahuu jaisii
ye ab kii fasl me.n khilte gulaab kaise hai.n
Bashar Nawaz
Sher
Thukraa ke chale jaanaa hai bar-haq tumhe.n lekin
bas rakhnaa KHayaal itnaa jahaa.n ko na KHabar ho
A G Josh
Sher
ra.ng aa.nkho.n ke liye buu hai dimaaGo.n ke liye
phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa hai
Hafeez Merathi
Sher
baar-haa yuu.n bhii hu.aa terii mohabbat kii qasam
jaan kar ham ne tujhe KHud se KHafaa rakkhaa hai
Saleem Ahmed
Sher
baar-haa ham ne use ro ke kahaa hai saahib
din judaa.ii ke nahii.n ham se guzaare jaate
Masood Tanha
Sher
zindagii kahte hai.n jis ko chaar din kii baat hai
bas hamesha rahne vaalii ik KHudaa kii zaat hai
Unknown
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
jab talak shiisha rahaa mai.n baar-haa to.Daa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
Shams Deobandi
Sher
kaliyo.n me.n taazgii hai na phuulo.n me.n baas hai
tere baGair saaraa gulistaa.n udaas hai