SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-jog"
Sher MATCHES FOR "ba-jog"
Sher
Obaid Siddiqi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Thukraa ke chale jaanaa hai bar-haq tumhe.n lekin
bas rakhnaa KHayaal itnaa jahaa.n ko na KHabar ho
A G Josh
Sher
sirf itne ke liye aa.nkhe.n hame.n baKHshii ga.ii.n
dekhiye duniyaa ke manzar aur ba-ibrat dekhiye
Josh Malihabadi
Sher
in dino.n shahr se jii saKHt ba-ta.ng aayaa hai
le chal ai josh-e-junuu.n suu-e-bayaabaa.n mujh ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
allaah re husn-e-dost kii aa.iina-daariyaa.n
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-diivaar kar diyaa
Josh Malihabadi
Sher
maqbuul ho.n na ho.n ye muqaddar kii baat hai
sajde kisii ke dar pe kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Josh Malsiani
Sher
na so sakaa huu.n na shab jaag kar gizaarii hai
ajiib din hai.n sukuu.n hai na be-qaraarii hai
Zuhoor Nazar
Sher
jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aataa hai
mah-e-nau kii tarah khole hu.e aaGosh aataa hai
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
jalte shahro.n kaa dhu.aa.n aa.nkho.n me.n ghuumaa aksar
yaad aa.ii hai jo guzre hu.e ayyaam kii baat
Zubair Bahadur Josh
Sher
baadbaa.n naaz se lahraa ke chalii baad-e-muraad
kaarvaa.n eid manaa qaafila-saalaar aayaa
Josh Malihabadi
Sher
naqsh-e-KHayaal dil se miTaayaa nahii.n hanuuz
be-dard mai.n ne tujh ko bhulaayaa nahii.n hanuuz
Josh Malihabadi
Sher
idhar terii mashiyyat hai udhar hikmat rasuulo.n kii
ilaahii aadmii ke baab me.n kyaa hukm hotaa hai
Josh Malihabadi
Sher
nik.hat-e-saaGar-e-gul ban ke u.Daa jaataa huu.n
liye jaataa hai kahaa.n baada-e-sar-josh mujhe
Agha Hashr Kashmiri
Sher
hai zaruurat ki mohabbat kaa sabaq de.n sab ko
aa.o ham mil ke kare.n azmat-e-islaam kii baat
Zubair Bahadur Josh
Sher
ab tak na KHabar thii mujhe uj.De hu.e ghar kii
vo aa.e to ghar be-sar-o-saamaa.n nazar aayaa
Josh Malihabadi
Sher
haa.n kaun puuchhtaa hai KHushii kaa nahufta raaz
phir Gam kaa baar dil pe uThaa.e hu.e hai.n ham
Josh Malihabadi
Sher
mile jo vaqt to ai rah-rav-e-rah-e-iksiir
haqiir KHaak se bhii saaz-baaz kartaa jaa