SEARCH RESULTS
Showing search results for "baKHt"
Sher MATCHES FOR "baKHt"
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
dil ko KHudaa kii yaad tale bhii dabaa chukaa
kam-baKHt phir bhii chain na paa.e to kyaa karuu.n
Hafeez Jalandhari
Sher
haadisa bhii hone me.n vaqt kuchh to letaa hai
baKHt ke biga.Dne me.n der kuchh to lagtii hai
Amjad Islam Amjad
Sher
baKHt se ko.ii shikaayat hai na aflaak se hai
yahii kyaa kam hai ki nisbat mujhe is KHaak se hai
Parveen Shakir
Sher
aa.nkh kam-baKHt se us bazm me.n aa.nsuu na rukaa
ek qatre ne Duboyaa mujhe dariyaa ho kar
Hafeez Jalandhari
Sher
mai.n KHud bhii yaar tujhe bhuulne ke haq me.n huu.n
magar jo biich me.n kam-baKHt shaa.irii hai naa
Afzal Khan
Sher
ba-zaahir saadgii se muskuraa kar dekhne vaalo
ko.ii kam-baKHt naa-vaaqif agar diivaana ho jaa.e
Hafeez Jalandhari
Sher
zabt bhii sabr bhii imkaan me.n sab kuchh hai magar
pahle kam-baKHt miraa dil to miraa dil ho jaa.e
Ehsan Danish
Sher
husn hai daad-e-KHudaa ishq hai imdaad-e-KHudaa
Gair kaa daKHl nahii.n baKHt hai apnaa apnaa
Aziz Hyderabadi
Sher
jis ko tum kahte ho KHush-baKHt sadaa hai mazluum
jiinaa har daur me.n aurat kaa KHataa hai logo
Raziya Faseeh Ahmad
Sher
gale milaa na kabhii chaa.nd baKHt aisaa thaa
haraa-bharaa badan apnaa daraKHt aisaa thaa
Shakeb Jalali
Sher
afsos hai ki baKHt hamaaraa ulaT gayaa
aataa to thaa pe dekh ke ham kuu.n palaT gayaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
raqiib dono.n jahaa.n me.n zaliil kyuu.n hotaa
kisii ke biich me.n kam-baKHt agar nahii.n aataa